8:55 AM Edit This 0 Comments »

EHSAS

5:36 AM Edit This 0 Comments »
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri bahooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

MAGAR YAAD AB NAHI

5:33 AM Edit This 0 Comments »
Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
.
Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
.
Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
.
Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
.
Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
.
Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

WO SHAKHS THA KAISA

5:32 AM Edit This 0 Comments »
Meri Aankhon Pe Mrta tha_
Meri Batoon Pe Hansta tha_
Na Jane Shakhs tha Kaisa_
Muje Khonay Se Drta tha_
Muje Jab B Wo Milta tha_
Yehi Her Bar Kehta tha_
Suno!
Main Bhool Jaon to_
Agar Main Rooth Jaon to_
Kabi Wapis Na Aaon to_
Bhula Pao gay Sab Kuch kia_
Younhi Hanste Raho gay Kia_
Younhi Sajte Raho gay Kia_
Yehi Batein Hein Bas Us Ki
Yehi Yadein Hein Bas Us Ki
Muje Maloom Hai ltna_
Muje Wo Piyar Krta tha_
Muje Khonay Se Drta tha....

Merey Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

5:29 AM Edit This 0 Comments »
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi

Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi 

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi 

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi 

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi 

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi 

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi 

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

JAGJIT SONG

5:27 AM Edit This 0 Comments »
Kabhi yun bhi to ho

Darya ka saahil ho
Pooray chand ki raat ho
Aur tum aao!

Kabhi yun bhi to ho
Pariyon ki mehfil ho
Koi tumhari baat ho
Aur tum aao!

Kabhi yun bhi to ho
Sooni her manzil ho
Koi na mere sath ho
Aur tum aao!

Kabhi yun bhi to ho
Yeh badal aisa toot k barsay
Mere dil ki terha milne ko
Tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar se

KAbhi yun bhi to ho
Tanhai ho,dil ho
Boondein hon,barsaat ho
Aur tum aao!
Kabhi yun bhi to ho!!

GHAZAL

5:25 AM Edit This 0 Comments »
Chahat ke mehfil main bulaya hy kisee nay,
Khud bulaa ker phir sataya hy kisee nay,
Jab tak jali hy shama jalta raha parwanaa,
Kiya iss tarhan saath nibhaya hy kisee nay
Armaan mere raiza raiza ho gye hain,
Yun kil k aangan sy giraya hey kisee nay,
Aag lagi hai dasht main koi kya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hy kisee ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kr k kisee ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hy kisee nay,
Sangdil jo tha aaj woh b ro parha
Us ko bhi tarpaya hy kisee nay.........

GHAZALS

5:23 AM Edit This 0 Comments »

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuwabon or Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huwey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga......

Iqrar-e-wafa tum ne nahi karna

9:14 PM Edit This 0 Comments »

Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna

Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga

Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga

Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga

Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam

Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena

Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta

Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti

Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai

Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna

Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna

Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai

Tu mere zakhm-e-talab ka “tazkara” ab kam se kam hoga

Mere hamsafar

9:12 PM Edit This 0 Comments »

Mere Humsafer, mere Hum-nasheen
Main ne Rab se manga to kuch nahi
Per jab bhi mangi koi dua!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”
Ye talab kya k mera Khuda!

Naye ehad ki
Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,
Wo ata kre tujhe manzlain,
Ye talab kya k mera Khuda!
Tujhe Bakht de,
Tujhe Taj de
Tujhe Takht de,
Mere Humsafer,
Mere Chara-ger,
Ye hai mohabbat ka khatan safer
Mere sath chalna zra soch ker
Mere pass zarr na koi hunar
Phir bhee dekh to mera hosla
Mere paas jo kuch, Sabhi tera
Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera elm bhi
Mera Naam bhi,
K jo mil saken mere Daam bhi,
Wo sabhi kuch tujh ko atta kre;
Mere chara ger tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua
K gwahi de ga mera Khuda
Maine jub b us se talab kya!
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”

Har shaks khudi ki masti main

9:10 PM Edit This 0 Comments »
Alfaz k jhoote bandan main

Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai…

Rona bhi parta hay

9:08 PM Edit This 0 Comments »
juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo’n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza’n aaye to phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee’n bhatee’n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hon chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye to phir rona bhi parhta hai

Udaasi ka …..

9:03 PM Edit This 0 Comments »

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mere Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikhaar Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Meri Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mere Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

‘ASAD'Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !

Ujalay apni yaadon k……

9:00 PM Edit This 0 Comments »

humara DIL sawaray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie to asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye.

wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi:

8:58 PM Edit This 0 Comments »
Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi

Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi

Jo ho Faisla woh sunaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karein ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘ASAD’ dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

Badal ki tarah …..:

8:56 PM Edit This 0 Comments »

Marti hoi zameen ko bachana parra mujhay…
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay…

Woh ker nahee’n raha tha meri baat ka yaqeen…
Phir youn hua k mar k dikhhana parra mujhay…

Bhoolay say meri simt koi daikhhta na tha…
Chehray pay aik zakhm lagaana parra mujhay…

Us ajnabi say haath milaanay k waastay…
Mehfil may sab say haath milana parra mujhay…

Yaadein thee dafan aisi k bad-az-farokht bhi…
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay…

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar…
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay…

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan…
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!!

Tujhko na aain mohabbatain karni

8:53 PM Edit This 0 Comments »
Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni

‘ASAD’ tujhko na aain mohabbatain karni

Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa’atain karni

Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni

Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni

Hum apnay dil se hain majbur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayamatain karni

Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni

Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Hamiin ko raas na aain mohabbatain karni

Kabhi ‘ASAD’ ne mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni

MUJHE TALAASH HAI USKI JO MERE JAISA HON:

8:48 PM Edit This 0 Comments »
 mujhe talaash hai uski jo mere jaisa ho,



 mere khulus ko pehchanta ho bus kafi hai,
 wo koi b hon, kahin b hon, kaisa b hon,

 meri khatir marne ka hosla b rakhta hon,
 agar kabhi roth jao main us se to,

 muskura k manayee, wo aisa hon,
 jo bat karey to wo nibha b sakey,

 irado main woh apne chatano jaisa hon,
 dukhon main hansney ka hunar janta hon,

 ik aisa hamsafar jo samander ki tarha gehra hon,
 us k pyar ki thandak ho mere liye aise,
 k wo tho bilkul assman k chand jaisa hon,

 wo sirf mera hon, jo nigahon main haya rakhta hon,
 umr bhar sath chalne ka azm-e-wafa rakhta hon,

 jo khwab deney ko qadir hon meri ankhon ko,
 meri muhabbat ko pehchan sakay aisa hon.

Ghazals

8:46 PM Edit This 0 Comments »

Kabhi Na Dekh saka:

 Sitara apni bhi tabindagi na dekh saka,
 Wo dhundh hi koi na dekh saka,

 Talaash karate hue ongliyan jala dalii,
 Wo tiiragi thi ki main ne shama bhi na dekh saka,
 
 Mila tha shaam mujhe ik bujha hua suraj,
 Main us k baad phir roshni na dekh saka,

 Jo rabt baqii the sab qattaa kar liye us ne,
 Wo mehraban meri becharagi na dekh saka,

 negah wase tho baam-e-falak ko chuu aa ii,
 Main jis zamen pe khada tha wahi na dekh saka,

 Wahi hai aa_iinaakhaana wahi hai tasvire,
 Main umr bhar koi surat na dekh saka,

 Tammam shaher main hua wo mashhur,
 Wo apni naak se age na dekh saka.

   

PRECIOUS STONES

7:18 AM Edit This 0 Comments »
DIAMOND:-
                     The hardest stone is colourless although there are also blue, yellow and pink varieties it is the most renowed precious stone.
SAPPHIRE:-
                          This stone can be blue, pink, orrange, yellow, green, purple or even colourless the most sought after colour is purplish-blue.
    RUBY:-
                 The rarest of all precious stones is extremly hard; it's colour variesfrom a bright pinkish-red to a purplish-red, which is the most sought-after color.
   EMERALD:-
                        Stone whose colour varies from greenish-yellow to greenish-blue an emeralds; valued is based more on its colour than on its purity.
         

6:53 AM Edit This 0 Comments »

6:43 AM Edit This 0 Comments »

PICTURES

6:37 AM Edit This 0 Comments »

BEAUTIFUL PICTURES

6:32 AM Edit This 0 Comments »